Thursday, 30 July 2015

Aaja phir tu bada ho jayega

Aaja phir tu bada ho jayega

Yun mujhe dekh kr tera muskurana
Rote rote bhi has dena
Aaja tujhe gale lagaun
Phir tu bada ho jayega

Har jagah meri godh mai sukun pana
Har mausam mai mujhe pakadh kr sona
Aaja tujhe sehlau
Phir tu bada ho jayega

Inn nanhe nanhe hathon se thapkiya dena
Mooh mai kabhi meri thodi aur hath lena
Aaja tujhe puchkaru
Phir tu bada ho jayega

Mere pallu se khelna
Mere baal , jhumke khichna
Aaja tujhe godh mai khilao
Phir tu bada ho jayega

Ghutno pe chalkr mere pass aana
Khilone chodh kr mere liye hath uthana
Ajaa tujhe khoob pyaar karu
Phir tu bada ho jayega

Mere gussa krne pr bhi mujhe satana
Tujhe naa samajhne pr bhi tera muskurana
Aaja tujhe apne mai samet lu
Phir tu bada ho jayega

Tere bade hone pr bhi yahi pyaar dulaar rahega
Tujhe khoob laadh karon mann yahi karega
Phir bada hokr tu bhi tere naam karega
Isliye mere nanhe badmashi laal
Aaja tujhe khoob pyaar karun
Phir tu bada ho jayega....

Tere sath sath mein bhi badi ho rahi hu....


 Mansi here it is for you....


Kushagra

Tere sath sath mein bhi badi ho rahi hu....
Jaise jaise tune ankhe kholi aur nazre tikani shuru ki,
Mera duniya ko dekhne ka nazariya hi badal gaya
Mujhe jeevan mai bas pyaar hi pyaar dikhne laga...

Jaise jaise tune hath-pair hilane shuru kiye,
Mujhe cheezon ko sambhalna aa gaya
Cheezon se zayada zindagi sambhalna sikh gai...

Jaise jaise tune hasna- rona shuru kiya,
Maine sath-sath muskurana sikh liya
Chhoti chhoti khushiyan jeena sikh liya...

Tere saath-sath mein bhi badi ho rahi hu...
Tune khilone bikherna shuru kiya
Maine pal sametna shuru kiya,
Tune ladhkhada ke chalna shuru kiya
Maine sath sambhalna shuru kiya,
Tune pakadna shuru kiya
Maine buraiyan chodna shuru kiya,
Tune hunkare bharna shuru kiya
Maine mitha bolna sikh liya,

Tere saath-saath mein bhi badi ho rahi hu
Tu mera Baccha badhta jaa raha hai
Mein teri MAA ,Mamta mai badhti jaa rahi hu,

Tere saath saath mein bhi badi hoti jaa rahi hu.....

Tuesday, 28 July 2015

Mein phir un palon mai muskurana chahti hu mein phir se wahi dekhna chahti hu

Mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu,
chahti hu phir se ghumte-ghumte thak kar 
pappa ki godh par chadh kar sair karna,
phir se pappa ki godh mein khelna chahti hu
mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu,
chahti hu phir se wo bauji ka roz-roz
office se aakar chocklate dena
wo maa ka bauji ko dekhkar chain ki saan lena
har sunday ko ghumane jaana chahti hu,
Mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu,
chahti hu wo bhaiya ke sath khelna, ladhna-jhagdna
phir sath-sath home-work karna
rubber ke chhote-chhote tukde karna
mummy ki daat ke baad bhi has ke bolna chahti hu
Mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu,
chahti hu phir se chhoti si Tanu ko godh mai lekar khelne jaana
ussey nehla kar taiyaar karna
khelte-khelte chup jaana
phir Tanu ka pyaar se didi pukarna
wo mitthi si awwaz mehsoos karna chahti hu
Mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu,
aaj bhi accha hai, par un palon mai mein
meri masoom soch ko sarhana chahti hu
aapne bado ko wo baccha bankar
phir se khub pyaar karna chahti hu
apni muskurahat ki chaya dikhakar
phir se unke dil ko sukun pahuchana chahti hu,
Mein phir un palon mai muskurana chahti hu
mein phir se wahi dekhna chahti hu....

Sunday, 26 July 2015

Jahan Hum humesha sath ho

Wo pal kaha se lau jaha wo pyaari aur damdaar 
awaaz phir sunai de, 
Wo waqt kaha se lau jahan aapki godh mai baithon 

aur sir pr aapka hath ho, 
Wo din kahan se laun jb nazre aapko 

dekh chamchama jaye, 
Wo jahan kahan se laun jab mein aapke gaal kheech 

kr zoor se pappi le saku,
Aapke sine se lag ke aapki 

dhakane sun saku,
Aapke sath zoor zoor se 

has saku,
Mere hero wo duniyan kahan se laun jaha 

hum humesha sath ho.. 
Wo pyaara gudla gudla haath wo 

mithi aur gehri awaaz wo 
shakti aur mann ki shanti wo 
samjh aur khoob saara dulaar wo 
daant ke piche chupa dher saara pyaar wo 
har sawal ka jawab..... 
Bauji mere bauji mere hero mere pyaare bauji.... 
Kahan se laun.......

Ander hai Bhramand

Aatma humari Surya hai, 
Indriya humari grah, 
Jo jhaank le ander deh ke,
sab paa jaye vah!!


Tatool anter-man ko, 
Seech prem ki soch ko, 
khilne de tu sach ko, 
khelne de tu rab ko!!

Ander hai vishwas, 
Yahi ander hai Bhagwan, 
Prakriti se tu pyaar kr, 
Pyaare tere ander hai Bhramand!!!...

Bhool Gaya


Mein kaagaz ke tukdo ko ginta raha,
jb Pyaar ki kimat bhool gaya.. 
Sone-chanti ko tarazu mai tolta raha, 
jab rishton ko sambhalna bhool gaya.. 
Et pe et rakhta gaya, 
jab apno ka sath chutata gaya.. 
Saanse yun hi leta raha, 
jb jeene ka andaaz bhool gaya!!!!....